Search This Blog

Monday, October 28, 2013

Zindagi ki ye paheli!

Aise mod pe aaya hoon zindagi main
Naa izahaar kar saktha hun na chupa saktha hun
Aisa mod leke aaya hai mera ye sapna
Na keh sakta hun usko dost na bana paunga apna
Zindagi main abhi hoga ek hi paigham
Chalte rehna hai uske saath chahe mile khushi ya mile gham...

Ak - 02/04/2013

Fear, Hope & Life!

Darr darr ke jeeeta hun main aaj kal....
Jeena aur marna dono ka ehsaas karta hun aaj kal....
Haat Thaamne ki khushi se zindagi chal raha hai har pal....
Thukraane se mit na jaoon ka dar se jeeta hun har pal....

Ak - 04/04/13

Kamino, Dost!

Dono kamino kaha se tapke mere zindagi main jaise veggie burger main meat,
Na maine kuch grade dilaya na badi treat,
Kya rakha hai mere main jo pakadte ho zindagi main hamesha mere liye ek seat,
Maa kasam dost bolunga to gaali hogi, tum dono toh hai mere movie ke geet...

Ak - 04/09/13

Zindagi apni~!

Achchi khaasi zindagi jee raha tha is duniya main,
Na khaata tha mil baat ke, na khilata tha itne pyaar se,
Pari ki status update karte karte aagaye do son pari mere jeevan main......
Aatethe achche pal ek ya do lekin ab khushiyonki barish hoti hai har pal,
Jeene laga hun zindagi poore mann se, hasne laga hun din raat poor dil se,
Wajah toh tum pari hi hon, karte ho mere liye har kuch poore tan se,
Ab raha toh yahi tamanna zindagi main,
Bachaake rakhna hai in pariyon ko har jhooti nazaron se,
Aur hamesha rehna hai in pariyonke dil main pyaar dosti aur khwahishon se......

Ak - 04/08/13

Paakar bhi na paaya...

Tujhe paakar bhi na paaya maine,
Apna banakar thukaraya jo tune
Dil ki ye aag bhujake fir se jo jalayi tune
Fir bhi ye dil hota nahi tere pe naraaz sunle
Dhadakta hai tere liye ye dil har baar kehta hai apna banaale
Us ek pal main sweekar jo kiya tha tune mujhe banake apna pyaar
Woh sharmaana woh gale milna woh pyaar ka izhaar
Jee lunga is zindagi inhi lamhoko ko pehnake sach ki chaadar.
Teri in aadaon ki fida rahunga hamesha aur karta rahunga har pal tujhse pyaar.....

Ak 04/19/13

Na jaane hum na jaane aap

Na jaane hum na jaane aap
Ye karke kya khoye aap ya kya paaye hum
Jannat to ek hi hai aur usi ke liye taraste hai hum
Aap jaise koi aur milna bhi sapna hai ye jaante hai hum
Ek sukhoon milta hai jab dekthe hai aapko hum
Bin dekhe bin chuhye woh gaalon ko kaise rehpayenge hum
Na jaane aap naa jane hum...
Woh masoomiyat woh bachpana woh khoobsurat chehra aur woh adaye,
Na jaane aapki marzi kya bus pyaar kar baithe hum
paayenge aapko kabhi na kAbhi Isi soch main jeet hain hum
Bus karta rahunga pyar kyu chHne se bhi nahi mitapaye ye pyaar ko hum......

Ak 29/04/13

Tu aur bus tu!

Soti hai tu jab apni nazaronko chupake,
Utke Bolti hai tu jab bachchi ki masoomiyat ke saath,
Hasti hai tu jab apne baahe khulke,
Roti hai tu jab mere kandhe pe,
Sochta hun main kya karu, Hamesha hasne du ya rulate rahu, jagaadu tujhe ya hamesha sulaate rahu,
Samajtha nahi ki kaise nibhaavu dosti ashiqui banke
Churaliya hai jo tune meri dil nazar aur sab kuch apna banake.
Mitate nahi yeh nazare na hatate nahi tere se kahi aur....
Rukathi nahi meri yeh aashayein tujhe apna banane ke liye,
Bus rukthi hai toh yeh hawayein aur yeh saas har baar jab bhi sochta hun rahunga tere saath zindagi bhar ke liye......

Ak - 05/04/2013

Khuda, teri marzi!

Akhon main roshni hai jo teri
Chamakthi hai tu, jab muskurathi hai pyaar se.....
Yeh ghane Baal jab udte hai teri,
Mushkil se mann rehta hai mere apne jaise....
Sota hun jab haaton pe teri,
Lagta hai mar jaaon aise hi in haton pe khushi se.....
Samajtha nahi kua hai ki dimple hai teri,
Chutha hu jab, Lagta hai badalon ko chua maine aur jeet liya duniya in haaton se....
Kya marzi hai khuda teri,
Mushkil hai jeena banake dooriyan is ladki se....
Ek hi dua hai ab banade iske saath hamesha hamesha ke liye rishta meri,
Rakhunga zindagi bhar palko pe apni aur karta rahunga pyaar zindagi bhar dil aur jaan se!!!

-ak 01/05/13

Rab ki Masterpiece!!!

Kitni shiddat se banaya hoga rab ne tujhe
Chun chun ke masoomiyat se har ek ang ko tarashke
Aankhon ko dekho to lagta hai phool khila hai baraf se
Baalon ko dekhe to lagta hai har ghane resham bane hain inhi se....
Woh masoomiyat ki Bol teri band kardeta hai bolti meri
Gaaliyan deti hai tu toh pata nahi lekin lagta hai mujhe meethi boliyan
Na janu main kya iraadha tha aisi jo mujhko milaya woh tujhe
Lekin Irada jo bhi tha ho gaya mujhe pyaar tujh pe
Jaanta hun Mushkil hai tujhe apna banana par Aur bhi mushkil haI tujhe bhoolana
Ab karta rahunga pyaar tujhe zindagi bhar jee bharke.....
Intezaar karta rahunga tera, khule apni baahe
Bus bohat intezaar mat karwaana, bharde in bahoon ko apni bahon se
Sun ne ke liye taraste hain yeh kaan bharde meri mann teri us HAAN se!!!

~@k 05/09/2013

Kyu Nahi?!

Gaaliiyaan itni meethi hai toh satau kyu nahi,
Chaaya itni khushi deti hai toh paas bulaoon kyu nahi,
Yaad se tanhayee mitati hain toh sochu kyu nahi,
Aakhon se khud ko bhool jata hoon to nazare milaoon kyu nahi,
Sparsh se sukoon milta hai toh chuhu kyu nahi,
Bichadne se tadapta hun to saath rahaoon kyu nahi,
Milne se jannat hasil hoti hai toh hamesha ke liye chahun kyu nahi....

~@k 08/28/2013

~DaRd~

Is dard ki dard se zyaada aapka bhoolne ka dard zyaada hota hai,
Ye dard bhi saala ek number ka harami hai jo aapke ishaaro pe mitata hai.
Bhoolna nahi agale baar madam, bhoolna nahi agale baar madam ek baat,
ki ye dard bhi aapki dhyaan milne tak humko nahi boolta hai!!!

~@k 10th Sept 2013

Son Pari!!

Jaane kaha se tapki ye son pari itni pyaari si,
Choti hai lekin lagti badi nanni munni yaari si,
Dekhte hi machadeti hai hazaron ki dil main ehsaas khalbali si,
Dekhne se duvida hoti hai ki tu sajti hai in kapde main ya khud kapde saj jaate hai tere pe,
Bachchi hai nadaan dimple hai pyaari masoomiyat aur khoobsurti teri,
Dekha tujhe aur laga ki dil mera lekin dhadakta hai tere pe,
Har ek adaaye teri le leti hai saans aur jaan meri.

~ak 14th sept 2013

Thursday, March 14, 2013

Meethi Boliyan!!!



Dil ki yeh apni baat izhaar karne mein Risk hai,
Par kya kare, mushkil hai chupana kyuki ye Ishq hai…
Pyaar ki chaddar mein lapetke deti hai tu Gaaliyan,
Bus ek baar sunna hain tere hoto se woh Meethi Boliyan!!!

~a.k [14.03.13]