Search This Blog

Monday, October 28, 2013

Zindagi ki ye paheli!

Aise mod pe aaya hoon zindagi main
Naa izahaar kar saktha hun na chupa saktha hun
Aisa mod leke aaya hai mera ye sapna
Na keh sakta hun usko dost na bana paunga apna
Zindagi main abhi hoga ek hi paigham
Chalte rehna hai uske saath chahe mile khushi ya mile gham...

Ak - 02/04/2013

Fear, Hope & Life!

Darr darr ke jeeeta hun main aaj kal....
Jeena aur marna dono ka ehsaas karta hun aaj kal....
Haat Thaamne ki khushi se zindagi chal raha hai har pal....
Thukraane se mit na jaoon ka dar se jeeta hun har pal....

Ak - 04/04/13

Kamino, Dost!

Dono kamino kaha se tapke mere zindagi main jaise veggie burger main meat,
Na maine kuch grade dilaya na badi treat,
Kya rakha hai mere main jo pakadte ho zindagi main hamesha mere liye ek seat,
Maa kasam dost bolunga to gaali hogi, tum dono toh hai mere movie ke geet...

Ak - 04/09/13

Zindagi apni~!

Achchi khaasi zindagi jee raha tha is duniya main,
Na khaata tha mil baat ke, na khilata tha itne pyaar se,
Pari ki status update karte karte aagaye do son pari mere jeevan main......
Aatethe achche pal ek ya do lekin ab khushiyonki barish hoti hai har pal,
Jeene laga hun zindagi poore mann se, hasne laga hun din raat poor dil se,
Wajah toh tum pari hi hon, karte ho mere liye har kuch poore tan se,
Ab raha toh yahi tamanna zindagi main,
Bachaake rakhna hai in pariyon ko har jhooti nazaron se,
Aur hamesha rehna hai in pariyonke dil main pyaar dosti aur khwahishon se......

Ak - 04/08/13

Paakar bhi na paaya...

Tujhe paakar bhi na paaya maine,
Apna banakar thukaraya jo tune
Dil ki ye aag bhujake fir se jo jalayi tune
Fir bhi ye dil hota nahi tere pe naraaz sunle
Dhadakta hai tere liye ye dil har baar kehta hai apna banaale
Us ek pal main sweekar jo kiya tha tune mujhe banake apna pyaar
Woh sharmaana woh gale milna woh pyaar ka izhaar
Jee lunga is zindagi inhi lamhoko ko pehnake sach ki chaadar.
Teri in aadaon ki fida rahunga hamesha aur karta rahunga har pal tujhse pyaar.....

Ak 04/19/13

Na jaane hum na jaane aap

Na jaane hum na jaane aap
Ye karke kya khoye aap ya kya paaye hum
Jannat to ek hi hai aur usi ke liye taraste hai hum
Aap jaise koi aur milna bhi sapna hai ye jaante hai hum
Ek sukhoon milta hai jab dekthe hai aapko hum
Bin dekhe bin chuhye woh gaalon ko kaise rehpayenge hum
Na jaane aap naa jane hum...
Woh masoomiyat woh bachpana woh khoobsurat chehra aur woh adaye,
Na jaane aapki marzi kya bus pyaar kar baithe hum
paayenge aapko kabhi na kAbhi Isi soch main jeet hain hum
Bus karta rahunga pyar kyu chHne se bhi nahi mitapaye ye pyaar ko hum......

Ak 29/04/13

Tu aur bus tu!

Soti hai tu jab apni nazaronko chupake,
Utke Bolti hai tu jab bachchi ki masoomiyat ke saath,
Hasti hai tu jab apne baahe khulke,
Roti hai tu jab mere kandhe pe,
Sochta hun main kya karu, Hamesha hasne du ya rulate rahu, jagaadu tujhe ya hamesha sulaate rahu,
Samajtha nahi ki kaise nibhaavu dosti ashiqui banke
Churaliya hai jo tune meri dil nazar aur sab kuch apna banake.
Mitate nahi yeh nazare na hatate nahi tere se kahi aur....
Rukathi nahi meri yeh aashayein tujhe apna banane ke liye,
Bus rukthi hai toh yeh hawayein aur yeh saas har baar jab bhi sochta hun rahunga tere saath zindagi bhar ke liye......

Ak - 05/04/2013